Patente A-B Urdu/Hindi Online Course Quizzes Ke sath
in Patente A,B in Urdu/HindiAbout this course
Ye Course kis keliye hai?
Yeh Billingual course Italy main rehne waale ya yahan Family reunion kelie aane waale unn logun ke lie hai jin ka taulaq India, Pakistan, Afghanistan, Bangladesh se hai aur woh Urdu/ Hindi/English samaj aur bol lete hain. Aap Italian zabaan ko seekhne ke saath apne Italian driving license ke theory exam ki tayaari bhi iss course se ker sakte hain.
Driving schools industry ke behtreen professionals jin ka iss industry main 20 saal ka tajurba hai, unhun ne ye course aap kelie banaya aur compile kia hai. Hum ne is baat ko yakeeni banaya hai ke aap ko iss theory exam ke liye khud ko tayyar karne ke liye tamam zaroori material provide karen aur tmaam 25 arguments ko seekhnay ke baad aur phir Final Theory Exam kelie tayaar ho sakain.
Mazeed Tafseel:
Iss bilingual course mein, hum har us aspect mein aap ki madad karen ge jo aap ko seekhnay, samajhney aur aakhir mein, apne Italian Driving License Theory ko paas karne ke liye required hai. Naye rules 2023 ke mutabiq sahih ya ghalat choose krne ke sath tees sawalaat mein se sirf teen ghaltion ki ijazat hai. Mukammal karne ke liye 20 minutes diye gaye hain aur seekhnay ke liye 25 matlooba Arguments hain .
Hum Explanatory 3D Object videos ke sath tamam 25 arguments ko cover karen ge. Yeh videos jaan boojh kar haqeeqi duniya mein aap ke seekhnay ke tajarbay ko badhaane ke liye banaye gaye hain. Har sabaq resources ke aik part par mushtamil hota hai jahan aap ko teen mukhtalif resources milein ge.
1. Exam Simulation: Tamaam 25 catogories kelie Vero (True) ya False (Falso) Quiz simulation jo k Italian aur Urdu/Hindi aur English teenun zabanon mein.
2. Quiz PDF file: Mumkina Vero (true) aur Falso (False) Bilingual Quizzes ki mukammal har argument ke liye PDF shamil hai.
3. Theory PDF File: Har argument ki mukammal theory file bhi course resources mayn included hai.
Har Argument ko mukammal kerne ke baad apni knowledge ko test kerne kelie quiz simulation kerna boht zaroori hai.
Comments (0)
Italian Driving Licence ke baare mein maloomat:
Italian driving licence, Italy ki jamhoori hakoomat ka ek rasmi ijazat nama hai jo awaami sarkon par motor gaari chalane ke liye zaroori hota hai. Yeh licence sirf us shakhs ko diya jata hai jo zehni aur jismani tor par gaari chalane ke laayak samjha jaye.
Aaj kal Italy ka driving licence “European Driving Licence” ke format mein jari hota hai. European Union ke mumalik ne is format ko is liye apnaya hai taake tamaam mulkon mein dastaweezat ke data ko hum aahang banaya ja sake.
Bairooni mulkon mein driving ke liye zaroori dastaweez:
Jab kisi dusray mulk mein gaari chalani ho, to aksar aik "qaumi driving licence" (jo ke kisi shakhs ke apne mulk se jari hota hai) ke sath sath aik sarkari tarjuma bhi darkaar hota hai. Is tarjume ko "International Driving Permit" yaani Bain-ul-Aqwami Driving Permit kehte hain.
Licence saath rakhna laazmi hai:
Jo shakhs bhi motor gaari chalata hai, us ke liye yeh zaroori hai ke woh apne paas mutaliqa category ka driving licence rakhe. Agar licence bhool jayein to Italian qanoon kisi qisam ka chhoot nahi deta. Agar police ne check kiya aur licence mojud na ho, to baad mein dikhane par bhi jurmana maaf nahi hota.
Na hi kisi wireless system ke zariye, real-time mein, kisi aur pehchan waghera ya registration certificate (agar driver hi gaari ka malik ho) ki buniyad par tasdeeq karna mumkin hai.
Is video mein hum "uso della strada" yani sadak ka sahi istemaal aur "obblighi legali" yani qanooni zimmedariyon par baat karte hain. Patente italiana ke theory exam ke liye yeh samajhna zaroori hai ke pedestrians, cyclists aur drivers se qanoonan kya talabba hai. Har road user ko apna kirdar nibhana hota hai taake traffic secure aur orderly rahe.
Is video mein hum "segnali di divieto" yani un traffic signs par focus karte hain jo kisi cheez se rok lagate hain—jaise "divieto di sosta" (parking mana hai) ya "divieto di accesso" (entry mana hai). Patente ke theory test mein in signs ki pehchan bohat important hai, kyunke yeh aapko batate hain ke road par kya nahi karna.
Is video mein hum "segnali di obbligo" ko cover karte hain—yeh woh signs hain jo road user ko kuch laazmi karne ka hukum dete hain. Jaise ke "obbligo di svolta a destra" (daain murhna zaroori hai). Patente italiana ke exam mein in signs ka ghalat matlab lena aam ghalti hoti hai, is liye inko sahi samajhna zaroori hai.
Is video mein hum "segnali di pericolo" ka jaiza lete hain—yeh woh warning signs hain jo kisi danger ya khatar ki taraf ishara karte hain, jaise "curva pericolosa" (khatarnak morr) ya "strada sdrucciolevole" (phisalti sadak). Theory exam ke liye yeh zaroori hai ke aap in signs ko foran pehchan sakein aur un ke mutabiq react kar sakein.
